Bookmark this Site
Google

Zinda hoooo Main...........

My frns say I have stopped mailing, so a blog dedicated to them......... Apart from some humourous posts....Later on this place has become a very precious archive for me.... where I do place links of thought provoking piece of writings I come across through my Web-trotting

Wednesday, June 28, 2006

Fanaa Quotes (Shaayaris) RELOADED

Here I am with rest of the Fanaa Movie Shaayaris............

Tumhari Khoobsurati ne Khuda se ek Khataa kara di
Kahi khud se nazar na lag jaye, yu kar tumhe nazar na di


Phool hu Gulab ka Chameli ka mat samajhna
Aashiq hu Aapka apni Saheli ka mat samajhna


Baithi hai Hothon ko si kar, pachhtayengi Aaap
Ishq jaag uthta hai Aksar, aisi khamoshi ke baad


Insaan ki khwahish ki koi inteha nahi
Do gazz Zameen chahiye Do gaz kafan ke baad


Dard se aankhe chaar kar lenge
Hum bhi inteha de denge
Teri Dosti ki khatir e dost
Hum Dushmano se bhi Pyaar kar lenge


Humse dur jaoge kaise
Dil se hume bhulaoge kaise
Hum woh khushbu hai jo saanso me basate hai
Khud ki saaanso ko rok paoge kaise


Kahte hai pyaar me neend ud jati hai
Koi hamse bhi mohabbat kar le
Kambakht neend bahut aaati hai

Aisa laga khuda ne, rakh diya hamare dil pe haath
liya naam hamara unhone kuchh aisi adaa ke saath

Bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte
Jaam dusro se chhin ke hum piya nahi karte
unko mohabbat hai to aakar izhaar kare
Pichhha hum bhi kisi ka kiya nahi karte

Paani se pyaaas na bujhi to maikhane ki taraf chal nikala
Socha shikayat karu teri khuda se, par woh bhi tera aashiq nikla

Tujhe is baazar ka Main dastoor samajha nahi sakta
Bik gaya ho jo, Woh khariddar nahi ho sakta

0 Comments:

Post a Comment

<< Home


View My Stats